Na Hindu Hoon Na Musalman Hoon,
Main To Hoon Sirf Ek Kankaal.
Na Sikh Hoon Naesai Hoon,
Main To Hoon Sirf Ek Kankaal.

Khatm Ho Chuki Meri Shaan,
Ab Main Karoon Kisse Abhimaan.
Jo Kuch Tha Liya Hi Naduniya Waloon Ne,
Ab Batao Main Karoon Kisse Abhimaan.
Ab Nahi Koi Hume Apnaata,
Ab Batao Main Kis Jaat Me Hoon Aata.
Aur Kya Koi Mujhe Apnayega,
Ek Kankaal Samajh Mujhse Door Bhag Jayega.
Sab Kuch Mera Lekin Kuch Nahi Mera,
Main To Hoon Sirf Ek Kankaal.
Phir Bhi Nahi Samajhte Ye Insaan,
Inko Bhi Ban Na Parega Kankaal.
Agar Main Kehta Hoon Ki Main Bhi Tha,
Preadhanmantri Kisi Desh Ka Raja,
To Ye Log Chadhayenge,
Meri Bedi Par Phoolon Ki Mala.
Roj Hogi Puja,
Mera Warsganth Manaya Jayega
Aur Agar Haqikat Me Ho Jaun To,
Mujhe Goli Se Ura Diya Jayega.
Ab Kya Kahoon,Kya Sunoge Meri Dastaan,
Main To Hoon Sirf Ek Kankaal.