Masoom Piyaari Ek Bachi Hay
Daikhnay Mein Woh Parri Hay
Naazoo.N Mein Woh Palli Hay
Maa Ki Apni Woh Dulaari Hay
Bol Naa Paaye Woh, Na Hil Sakti Hay
Ankhoon Se Khoob Batain Karti Hay
Jo Piyas-O-Bhook Usay Sataati Hay
Tube Se Khuraak Usay Dee Jaati Hay
(Khuraak=food Etc)
Jab Maa Us Ko Khaani Sunaati Hay
Muskaraati Ankhoon Se Sunti Hay
Jaisay Hi Woh Mau Phair Leeti Hay
Ishaara Hay, K Woh Thak Jaati Hay
Mun Hi Mun Mein Geeet Gaati Hay
Sapno K Nagar Mei Woh Rehti Hay
Rakh K Sur, Maa K Hath Pe Soti Hay
Maa Us Ki Aasay Usay Sulaati Hay
Tarapti Hay Jab Takleef Usay Hoti Hay
Karbnak Nigahao Se Maa Ko Takti Hay
Andar Hi Andar Woh Khoob Rooti Hay
Nahi Ab Bardasht, Yeh Woh Kehti Hay
(Karbnak=dard Se Bhari)
Maa Usay Apni Aagosh Mei Le Leti Hay
Choom K Maatha Usay Piyar Karti Hay
Nigahe Mohabbat Se Usay Dekhti Hay
Kuch Na Hoga Meri Jaan Yeh Kehti Hay
(Maatha=forehead)
Nam Aankhon Se Woh Aasmaan Takti Hay
Aagoosh Mein Jab Us Ki Pari So Jaati Hay
Hathoon Ko Aasmaan Ki Tarf Uthaati Hay
Aur Luboo Mei Chupi Siski Nikal Jaati Hay
Na Rakh Paye Khiyal Koi Asa,Jo Maa Rakhti Hay
Na Hoo Koi Takleef Usay, Khiyal Asa Rakhti Hay
Khuda Se Woh Koi Gila Shikwaa Nahi Karti Hay
Hogi Pari Theek, Yaqeen Khuda Per Rakhti Hay
Himmat Hay Yeh Woh Jo Bas Maa Rakhti Hay
Haaray Taqdeer Jis Se Woh Azam Rakhti Hay
Yehi Hay Haqeeqat Kay Maa Azeem Hoti Hay
Maa Hi Kay Qadmoon Talay Jannat Rakhi Hay
(Azam=iraada, Himmat)
Sab Ki Ankhon Ko Bhaaye, Asi Woh Pari Hay
Sab K Diloo Mei Bas Jaaye, Asi Woh Pari Hay
Lub Ki Muskaan Ban Jaaye, Asi Woh Pari Hay
Har Ada Us Ki Jagmagaaye, Asi Woh Pari Hay
Lekhnay Ko Hay Aur Per Ekhtatam Ki Ghari Hay
Hay Dil Yeh Udaas Aur Ankhoon Mein Nami Hay
Yeh Nazam Jo “Aman” Ne Aaj Tehreer Kari Hay
Ho Pari Theek,Yehi Dua Har Satr Mein Kari Hay
(Ekhtatam=end, Ghari=waqt, Tehreer=lekhna, Lekhi Hay, Satr=line)