Mangalsutra Pehnaa Sakee Par Naa Karr Sakee Patnii Kii Qdar
Kiye Jaaye Bewafaaii Phir Pooche Mangalsutra Aur Patii Kii Qdar
Mangalsutra Pehnaa Sakee Par Naa Karr Sakee Patnii Kii Qdar
Kiye Jaaye Bewafaaii Phir Pooche Mangalsutra Aur Patii Kii Qdar
Patni Toh Chaahe Pyar Sammaan Aur Apnaapan Apne Saathi Se
Aap Pyaar Se Chaaho Kii Hum Karain Aapke Gustaakhi Kii Qdar
Khane Ko Roti Rehne Ko Ghar Tan Ko Kapada Mayke Main Bhi Tha
Phir Baat Baat Pe Taane Aur Kyun Karwaate Ho Apne Naoukrii Ki Qdar
Jab Bhi Chaha Waqt De Sako Kar Sako Pyaar Humko Bhi
Har Baar Taala Humko Par Karte Rahe Dusre Kudii Ki Qdar
Haan Nahi Dena Maan Kyunki Na Pa Sakee Ek Patni Ka Huq
Bas Naam Diye Patni Ka Na Kar Sakee Jeevansaathii Kii Qdar
Bhool Jaao Ki Patni Aab Ek Pathar Dill Ko Chahegii Aur Poojegii
Gar Ban Sako Jeevansaathi Tabhi Hoga Ek Abhimaani Kii Qdar
Par Ye Bhi Sach Hai Mere Khuda Bhi Toh Patthar Hain
Phir Kyun Na Kare Chandsii Apne Patthar Premi Ki Qdar