Man Ke Sapne, Kitne Sunder
Raat Mei Bante, Din Mei Mit’te
Raat Mein Sapne Sunder Dikhte
Din Hote Hi Mit Jate Hein
Acha Tha Sapne Na Hote
Koi Kisi Ke Apne Na Hote
Ye Mera Hei, Ye Uska Hei
Ye Apna Hei, Wo Kiska Hei
Ichahon Ka Khwab Nehi Hei
Simao’n Ka Ant Nehi Hei
Kab Tak Sapne Bunte Rahege
Aana Hoga Isi Dhara Per
Rehna Hoga Isi Dhara Per
Jo Parisram Ko Aadhar Karega
Wo Sapne Sakaar Karega
Duniya Uski Sapne Uske
Jo Inko Swikaar Karega.