Maa Tum Kab Logi Meri Naap Ki Kameez.
Hamesha Tumhne Liya Mere Liye
Mujhse Badey Aur Be-Naap Liye.
Mujhe Yaad Hai Woh Din
Tumhne Baba Se Mere Liye
Badey Naap Ke Kapron Ki
Iccha Jataayi Thi.
Mere Pehley Janm Din Per
Kharidi Thi Rangeen Kameez,
Jise Main Teen Saal Tak Pehan
Idhar-Udhar Lataktaa Raha.
Jab Thoda Bada Hua Aur Samajhney Laga Main
Sab Cheezon Ko, Tab Mere Pratishod Oer
Tumhne Kaha Tha, Abhi Tow Tumhney Barhna Hai
Dow Din Mein Hee Dow Beint Barh Jaaoge,
Tab Kya Karungi Main. Uss Samay Tow
Nahin Kaat Saka Per Ab Tow
Bahaut Samay Guzar Gaya
Tumhari Icchaon Ke Anuroop
Main Bada Ho Gaya Hoon.
Maa Ho Sakey Tow Ab Ek Kameez
Mere Bhi Naap Ki Sila Dow.