Khalaon Se Dil Basana Hamein Aata Hai
Tees Uthti Ho Muskurana Hamein Aata Hai
Keh Do Ki Chodh Bhi Dein Ab Kalaayi Wo Meri
Bin Nafs Ke Bhi Umr Bitana Hamein Aata Hai
Chashm-E-Tar Mein Ho Aalam-E-Veeran Tau Kya
Aalam-E-Dil Ko Gulshan Banana Hamein Aata Hai
Iss Darjaa Hain Uljhe Gham-E-Rozgaar Mein Hum
Par Hasrat-E-Parwaaz Badhana Hamein Aata Hai
Baar-E-Ehsaan Hai Sitamgar Ka Mujhpe, Dost
Warna Na Jaante Chahat Nibhana Hamein Aata Hai
Teer-O-Khanjar Sab Saump Aaye Qaatil Ko
Khud Ko Apne Haathon Lutana Hamein Aata Hai
Harf Bah Harf Apni Tehrir Ki Palakon Se -Ë—Paras-‘
Qatra-E-Khuun-E-Jigar Bahana Hamein Aata Hai
Marr Hi Jaayein Mile Fursat Gham-E-Yaar Se Ik Din
Siwaa Gham Ke Sab Bhulana Hamein Aata Hai
Duur Tujhse Teri -Ë—paras-‘ Jee Na Paati Ek Bhi Pal
Par Yaad-E-Wasl Mein Barson Bitana Hamein Aata Hai