Illahi Tere Dar Per Main Yon Aaya Hoon
Zindagi Bhar K Gunnah Saath Laaya Hoon
Aaya Hoon Paas Tere Imaan Apna Luta Ker
Hirs-O-Lazzat Mein Zindagi Apni Bita Ker
Nahi Paas Mere Ikhlaaq Naa Ibaadat Hay
Guzaari Jo Zindagi Uss Per Nidaamat Hay
Bhoola Tujhe Faani Rishtoon Ki Ulfat Mein
Bitaayi Hay Yeh Zindagi Kaisi Gaflat Mein
Nafs-E-Budkaar Mein Guzri Zindagi Meri
Shaitaaniyat K Sung Guzri Zindagi Meri
Mera Kirdaar Jhoot-O-Makkaari Se Bhara
Har Ek Amal Mera Hay Badkaari Se Bhara
Ikhlaaq Se Raha Aari,Mau Per Rahi Hay Gaali
Taskeen-E-Nafs Mein Raatain Rahi Hay Kaali
Aari=khaali/ikhlaaq Na Hoona
Soom-O-Salaat Ka Nahi Tha Mujhe Koi Hoosh
Mehfil-E-Jaam Sur Saaz Mein Raha Madhoosh
Soom=rooza/fasting, Salaat=numaaz
Haj Naa Umrah,Khairaat Fitra Aur Naa Zakaat
Naa Thi Dhan Doulat Kamaayi Mein Barkaat
Khairaat,Fitra,Zakaat=charity
Tere Darbaar Ka Laaiq Yeh Amaan Na Raha
Khooya Lazat-E-Duniya Mein Imaan Na Raha