Ek Holi Aaj Chupkar
Chat Per Khamosh Gumsum Si
Kabhi Aakash Takti
Kabhi Zameen Ko Nihaarti
Soch Mein Magn Si
Jaise Kehna Chah Rahi Ho
Ki Kal Raat Usko Hi To
Jalaaya Gaya Tha
Lakdiyon Ke Bech Mein Rakhkar,
Jab Sab Jhoom Rahe Tthey
Utsav Ko Manaatey Hue.
Ateet Ko Yaad Karti Hui
Aage Barhti, Fir Ruk Jaati,
Ek Saal Pehle Hi To
Usko Laaya Gaya Tha
Isi Ghar Mein
Laal Jorrey Mein Sajaakar,
Kitni Raunak Thi
Sabhi Ke Chehron Per.
Bees Saal Ki Woh
Saheli Si Nanad,
Solhwaan Saal Lapetey Hue
Woh Bete Jaisa Nanha Devar.
Aaj Woh Bhi Usi
Tapti Chat Ke Neechey
Khoye Tthey Dharaatal Mein.
Aakhir Uss Ghar Se
Chaar Maas Pehle Hee
Jawan Beta Jo Gaya Tha
Aakaash Ki Taraf.
Ussi Aakaash Ki Taraf,
Jisse Safed Kapdey Mei Lipti
Woh Baitthkar Cchat Se Nihaar Rahi Thi
Aur Chupkar Akele Hee
Mana Rahi Thi Safed Holi