Ek Bachi Aaj Phir
Bethi Hay Woh Intezaar Mein Sahpahar Se (Sahpahar=afternoon)
Maa Kab Aayenge Baba Pochay Betabi Se (Baba=father)
Khilay Masoom Chehra Baba Ki Dastak Se
Daur Ker Lipat Jaaye Baba Ki Taangoo.N Se
Masoom Andaz Mei Kahaye Apnay Baba Se

Baba Guriya Laa Do Na
Baba Usko Gaud Mei Utha Ker Muskarata Hay
Bari Mohabbat Se Beti Ko Apni Bosa Deta Hay (Bosa=kiss On Forehead)
Seenay Se Apnay Chimta K Woh Yeh Kehta Hay
Aaj Bohat Thak Gya Beta Or Kal Pe Taal Deta Hay
Sun K Beti Ki Yeh Fariyaad Woh Aah Bharta Hay
Baba Guriya Laa Do Na
Baad Iss K Jaye Woh Khailnay Apni Sehliyon Se
Sajaaye Doosroon Ki Guriya Ko, Iss Umeed Se
Banaongii Dulhan Guriya Ko Apni, Kal Piyar Se
Karay Widaayi Guriya Ki Woh Num Ankhoon Se
Aur Mun Mun Mein Woh Kahaye Bari Hasrat Se (Mun Mun=dil Hi Dil Mein)
Baba Guriya Laa Do Na
Aa K Ghar Bethay Maa Ki Aagosh Mein,Laad Se
Maa Khaanaa Khilaaye Uss Ko Baray Piyar Se
Kuch Sooch Ker Mau Phairay Woh Khanay Se
Khaongi Khana Saath Guriya K, Kahaye Maa Se
Jaa K Phir Masoom Si Zid Karay Apnay Baba Se
Baba Guriya Laa Do Na
Dekh Na Paaye Beti Aansoon Ko Chupata Hay
Dil K Andar Hi Apni Ahaon Ka Gala Dabata Hay
Or Muskarati Ankhoon Se Beti Ko Manata Hay
Apnay Hathon Se Phir Usko Khana Khilata Hay
Kuch Yohi, Beti Ko Iss Zid Se Chup Karata Hay
Baba Guriya Laa Do Na
Baba Uss Ka Jab Raat Ko Soonay Jaata Hay
Beti Ko Woh Apnay Seenay Pe Sulaata Hay
Bund Ankhoon Se Apne Kal Ko Sochta Hay
Anginat Zarooratoon Mei Woh Khoota Hay (Anginat=beshumaar,Bohat Zaida)
Soch K Beti Ki Yeh Fariyaad Woh Roota Hay
Baba Guriya Laa Do Na
Bas Ab Yeh Qalam Bhi Haara Chuka Iss Gurbat Se
Hay Lub-E-Aman Pe Bas Yeh Ek Dua Khuda Se
Na Rahayen Hasratain Zindagi Mein Nayi Subah Se
Yeh Bachi Khailay Sang Sehliyoon K Apni Guriya Se
Phir Kabhi Yeh Bachi Kah Na Sakay Apnay Baba Se
Baba Guriya Laa Do Na