Dehal Utthi Insaniyat Jab Koi Insaa Gaya,
Aman Gaya Azadi Gai Or Kisi Ka Kaya Gaya
Moot Bantnay Walo Tum Bhee Ro Dogay,
Jis Din Tumhe Ghar Se Jab Koi Apna Gaya
Siyasat Kay Khel Main Mohry Hain Hum Tum,
Yeh Khel Har Baar Hamari Zindagi Say Khela Gaya
Aag Say Aag Bhujhany Walo Kush To Hosh Karo,
Nafrat Kam Hogi Kaise Gar Is Main Nafrat Ko Dala Gaya
Hamari Khamoshi Ko Kamzori Samjhnay Walo,
Tumko Rah Na Milaygi Jis Din Humko Gussa Aa Gaya
Aao Tum Bhee Laut Aao Wapis Aman Ki Dunia Main,
Wo Bhula Bhula Nahi Rehta Jo Wapis Ghar Aa Gaya
‘Veer’ Jio Oro Ko Jeenay Do Har Mazhab Sikhata Hai,
Karkay Pyar Sab Say Yeh Raaz Samajh Main Aa Gaya