Bachche Bhookhe Do-Teen Saal Ke
Mang Rahe Thea Khana
Maa Ki Muskil Bahut Badi Thi
Bachcho Ko Samjhana
Ghar Mein Kuchh Nahi Bacha Tha
Jo Bana Ke Unhe Khilaye
Raat Bahut Ho Chuki Thi
Bachcho Ko Kaise Sulaye
Suna Tha Desh Mein Pariya Raha Kerti Thi
Sone Ki Chidiyon Se Bagiya Saja Kerti Thi
Laakh Prayatn Kiya Phir Bhi Na Bani Baat
Patthar Ubalati Rahi Ek Maa Tamam Raat
Khaane Ke Entjaar Mein
Bachche Fareb Khaa Ke So Gaye