Baat Baat Par Baatein Banaana Koyi Dilkash Adaa Nahin
Baar Baar Unko Yahi Samjhaaya Houa Koyi Faidaa Nahin
Bahaane Itne Woh Kar Gayi Ab Lage Unki Har Baat Jhoothi
Khataa Meri Nahin Bharosaa Jo Unpar Raha Jyadaa Nahin
Meethe Do Bol Ke Badle Apne Kitaab E Hayaat Unko Diya
Zaahiran Mujhse Yaha Houa Koyi Accha Sa Saudaa Nahin
Iss Nazook Dil Ke Sang Khelne Ka Shauq Jab Se Rakha Hai
Mann Bhelaane Ko Ussne Ek Bhi Khilonaa Kharidaa Nahin
Basaaya Tha Dil Main Unko Magar Sar Par Woh Jaa Baithi
Khareeb E Khudaa Rehna Unka Tha Shayad Iraadaa Nahin
Dil Se Mera Naam Mitaane Main Masroof Hein Woh Aajkal
Shukr E Khudaa, Baazu Pe Ussne -Ë—d-‘ Akshar Godaa Nahin
Unke Ehsaanon Ne Iss Kadar Wajood Ko Dabaa Rakha Hai
Shikwaa Karne Ke Liye Zubaan Se Nikalti Koyi Sadaa Nahin
Uff ! Zaraa Zaraa Si Baat Pe Tera Ye Ruuth Jaana -Å—amanush -Å—
Badaa Accha Houa Iss Jahaan Ka Tu Banaa Khudaa Nahin