Ameeron Ki To Har Din Holi,
Aur Har Raat Diwali Hoti Hai.
Aur Garibon Ke Tyohar Me,
Wahi Do Waqt Ki Gaali Hoti Hai.
Tyoharon Me Ab Nahi Hota,
Hai Dilon Ka Mel.
Ab To Ye Bankar Reh Gaya Hai,
Bas Paison Ka Khel.
Tyoharon Me Sab Khoob,
Chak Kar Khate-Peete Hain.
Kabhi Jhopriyon Me Jaa Kar,
Dekho,Gareeb Kaise Jeete Hain.
Tum To Maje Me Jeete Ho,
Khel Kar Rangon Ki Holi.
Kabhi Unko Bhi Roko,
Jo Banate Khoon Ki Rangoli.
Kyun Paison Ko Barbaad Karte Ho,
Khareed Ka Tum Patakhe.
Kuch Paise Unko De Do,Jinki,
Dekh Nahi Pati Aankhen.
Har Pooja Me Khareede Hue,
Na Jaane Kitne Kapde Dhare Hain.
Deen Gareeb Bechare,
Anchahe Bhi Nange Khare Hain.
Gareebon Se Poocho Kitni,
Mushkil Se Wo Jiye Hain.
Aur Kuch Gharon Me,
Jalte Ghee Ke Diye Hain.
Tyohar Unke Liye Nahi,
Jo Aish Me Jeete Hain.
Paani Me Mila-Milakar,
Jo Log Sharaab Peete Hain.
Tyohar Unke Liye Hote Hain,
Jinhe Khuda Ne Khushiyan Di Kam.
Ye Unke Liye Hain “Ghayal”,
Jinki Saal Bhar Aankhen Rehti Nam.