Ae Mere Pyaare Se Phul
Mat Kho Apni Sundarta
Tum Ho Kitne Sunder Sabko Do Ye Bata
Bata Do Sabko Ki Asli Sundarta
Phul Ki Pankhudiyon Mein Nahin
Uske Rang Va Rup Mein Nahin
Uski Khushbu Mein Hoti Hain
Jo Phul Ke Murjha Jaane Par Bhee
Usme Barkarar Hoti Hain
Kyaa Faayda Us Phul Ka Jo
Dikhne Mein Bahut Sunder Ho
Par Usme Aati Nahin Khushbu Ho
Isliye E Mere Pyaare Se Phul
Apne Mein Itni Khushbu Bhar Lo Ki
Jahan Kahin Bhee Tum Raho
Aas Paas Ke Phul Bhee
Tumhaari Khushbu Se Menhke
Itni Khushbu Bhar Lo Ki
Patjhad Bhee Tumhaari
Khushbu Mein Kho Jaaye
Itni Khushbu Bhar Lo Ki
Main Garv Se Keh Sakun
Ye Mera Pyaara Sa Phul Hain