Ae Insaaniyat Key Raastey Sey Bhatakey Huye Noujawaano!
Marey Koyee Bhi, Wo Hotaa Hai Bhaayee, Bahin Yaa Beytaa;
Kisee Ki Maan, Kisee Kaa Baap, Yaa Saalaa, Ki, Bahinoyee;
Kabhi Wo Dudhmuheyn Bachchey, Kabhi Daadaa, Kabhi Daadee,
Kabhi Maashooq, Maashooqaa, Kabhi Shouhar, Kabhi Dulhin!
Gamoun Mein Doob Jaatey Hain Hazaaroun Log Lamhey Mein:
Yeh Kaisee Dushmanee Hai, Jo Naheen Pahichaantee Kuchh Bhi?
Zaraa Socho, Ki, Amn-O-Chain Khokar, Kisey Paa Logey?
Yeh Sab Bey-Wajah Hai, Roko Isey, Yeh Khaam Khyaali Hai!
Ye Dahshat-Pasandee, Ye Qatl, Ye Khoonreiziyaan Saareen,
Naheen Dey Paayengey Kuchh Bhi Tumhain Ye Sab; Sahee Maanou!
Ye Rastey, Naheen Pahuchaayengey Jannat Mein, Sahee Maanou !!-