Matt Iss Khaab ke Peechey Bhaago

Pathar Ban kar Reh Jao Gi

Taiz Bohat hai Waqt ka Darya

Tum bhi iss mein Beh Jao gi

Yeh Nashter jai Ruswaayi

Bolo, Kaise Seh Pao gi

Kya Bachoo’n jaisi Baatoo’n se

Tum Sab ko Behla sakti ho ?

Kya Tum apney Mann ki Mantaq

Dunya ko Samjha Sakti ho ?

Khaaboo’n jaisi Baatein kar ke

Kya Taabeerein Pa sakti ho ?

Baap ki Shafqat , Maa’n ki Mamta

Kya Sach Much Thukra sakti ho ?

Jis Ghar mein Parwaan charhi Tum

Uss ko Chor ke aa Sakti ho Tum ?

Aisi Baatein Na Mymkin hain

Bus Tum Apni Tanhayi mein

Hij’r ke Geet hi Ga Sakti ho !