Main tujhay chahta nahi lekin

Phir bhi paas jab tou nahi hoti

khud ko kitna udas pata hon

gum say apnay hawas pata hon

janay kia dhun samai rehti hay

ek khmoshi si chhai rehti hay

dil say bhi guftagoo nahi hoti

,

Main tujhay chahta nahi lekin

,

phir bhi shab ki taweel khilwat mein

teray aoqat sochta hon

teri har baat sochta hon

kaon say phool tum ko bhatay hen

rang kia kia psand aatay hen

kho sa jata hon teri jannat mein

,

Main tujhay chahta nahi lekin

,

phir bhi ehsas say nijat nahi

sochta hon to ranj hota hay

dil ko jaisay koi dabota hay

jis ko itna srahta hon

jis ko is darja chahta hon

us mein teri si koi baat nahi

–

Main tujhay chahta nahi lekin …