Main kiyon na tark-e-ta`aluq ki ibteda karta Wo dur dais ka baasi tha kiya wafa karta ? Wo mere zabt ka andaza karne aaya tha Main has ke zakhm na khata tu aur kiya karta ? Hazar aiena khano`n mein bhi na pa saka Wo aiena jo mujhe khud se aashna karta Dar-e-qafas pe qayamat ka habs tha warna Saba se zikr tera mein bhi sunn liya karta Meri zamee`n, too agar mujh ko raas aa jaati ! Main rifato`n mein tujhe aasma`n sa kerta Gham-e-jaha`n ki muhabbat lubha rahi thi mujhe Main kiss tarha teri chahat pe aasra karta ? Agar zuba`n na kat`ti tu shehar mein ‘MoHsIn’ Main pathro`n ko bhi ek rooz hamNawa karta