Main bhi kitni pagal hoon na

Sang hawa k urna chahoon

Titli ban kar nagri nagri

Gulshan Gulshan phirna chahoon

Phooloon k sab rang chura kar

Chunri apni rangna chahoon

Main bhi kitni pagal hoon na!

Chandni shab ko khunak hawa main

Chand nagar ko jana chahoon

Amber k ik ik taarey ko

Daman main bhar lena chahoon

Bhaag k sarey nanhey jugno

Muthi main band karna chahoon

Main bhi kitni pagal hoon na!

Kabhi kabhi un nazroon k main

Gongey sapney parhna chahoon

Uss ki sochoon k zeney per

Nangey pa’oon main charhna chahoon

Janti hoon na-mumkin hay ye

Phir bhi kitni pagal hoon main

Janey kya kya karna chahoon

Titli, khushbo, badal ban ker

sang hawa k urna chahoon

MAIN BHI KITNI PAGAL HOON NA!