main aik kanch ki gurya

hawa-e-daher ki zad main

kabhi toti tou kabhi bikhri

main waqat ki ankh main thara howa

wo bay rang sa ansoo

kay jis ki manzilain zameen ki panhanyana tharin

main angan ki der o dewar per thara howa

aik ghiza zad mosam

jisay koi dekhna chahay aur

na khohish ho chonay ki

main aik kanch ki gurya

main bay rang sa ansoo

main aik ghiza zad mosam

magar roko , suno aur dekho

main insan bhi tou hoon

meray ahsas kay zakhmi badan ko

naram lafzoon ka marham do

meray bay rang hatoon ko

kabhi tou koi rang day do

mohabat na sahi ,

magar itna hi ker do tum

faqat aitbar ka aik lazawal pal

mujhay day do , mujhay day do

main aik kanch ki gurya

main aik ghiza zad mosam

kho gai hoon dunya ki wasatoon main

dhoondti hoon apnay aap ko in hi wasatoon main

main aik kanch ki gurya

main bay rang sa ansoon

main ghiza zad mosam

bas itna ker do kay

faqat aitbar ka aik lazawal pal

mujhay day do

mujhay day do!!!!