Wo meri nigahon se bahut door hue hain
Sunte hain ki halat se majbur hue hain
Ulfat ki tamanna bhi hai ye kaise tamanna
Har jishm ke charche hame manjur hue hain
Itna bhi nahi dum hai duwa vasl ki kar le
darde gam ulfat se bahut choor hue hain
Kiya log jamane se mohababat nahi karte
apne hi fasane bade mashoor hue hain
Tanhai main humm dil ka sukun dhundh rahe hain
Duniya ye samajhti hai ki magrur hue hain
Kashnaye dilbar main rashai nahi aansa
Majbur hi nahi shah bhi majbur hue hain
Shikwa jo kiya unse to kiya paya ‘Dost’ hamne
Wo apni khataon pe bhi magrur hue hain.

avinashkundan368@gmail.com
9910089467