—Pyaar– shabd labon par;
aate hi musukurahat saja deta hai,
man mein kai rang bhar deta hai,
kalpana ko nai udaan deta hai,
pyaar nahi ye to jadu-sa jaan padta hai,
mano khushiyon ka pitara-sa jaan padta hai,
sochati thi mai aise hi kuch,
samjati thi mai aise hi kuch,
par ye to keval man ka bhram nikla,
ek chhalava,kitabi kida nikla,
pyaar ko jitna hi samja apana-sa;
na jane kyu wo nikla utna hi paraya-sa;
Dil pe karu vishwas ya karu Dimag par ya karu un shabdon par……
jis par tika ye sara sansar hai…..!!!
Damin