nt”>

Tumhein soch-soch kar, tan mein jagi aungdayee
Kaisi-kaisi aithan jagi, aag lagaye bahki purwayee;
Kitna najuk pal hai yeh, jab tum hi tum dikhti ho
Chahat ke changul mein fans, pighle yeh garmayee.
Najar-najar ka khel hai yeh, najron nein aag lagayee
Ras-Ras boondein tapak rahi, hothon ki hai badhayee;
Gaal-gulala- kamal se chikne, chchuwan se ho fislayee
Chehra chaand sa lagne lage, roshani faila jab muskayee
Sach boloon to jab tum aati ho, mujhe achcha lagta hai
Khul khayal khilne lagte hain, armanon ki rang-rangayee;
Aas-pass sab jaanch-jaanch, tum aanch-aanch aungnayee
Bandhan mein chandan sa lagta, jaise jism-jism amrayee.
Dhirendra Singh.