Khuda Ki Rehmat Hai Humpar Jo Unka Pyaar Mila,
Janaat Se Haseen Kai Yaadon Ka Uphaar Mila,
Kyun Karen Hum Us Khuda Se Ab Koi Shikwa Koi Gila,
Jisne Humko Maa Ka Pyar Dilaya Jisko Paakar Mei Aur Tu Khila….
Kyun Bhool Jaate Hain Hum Us Maa Ko Waqt Ke Saath-Saath,
Nahin Rehta Humko Unka Koi Khayaal,
Kya Hota Hoga Us Maa Ke Dil Ka Haal,
Jisne Hamare Liye Bhula Diya Apna Har Ek Khwaab….
Kyun Khayaal Nahin Rehta Humko Unka,
Wo To Bas Har Pal Hamari Yaad Karti Hai,
Jab Bhi Jaati Hai Kisi Mandir Ya Masjid Mein,
Sabse Pehle Hamari Salamati Ki Dua Karti Hai….
Kya Wajood Hoga Hamara Jo Hum Unko Bhool Jaayen,
Phir Kabhi Tanhai Mei Hum Khud Ko Hi Tadpaayen,
Roye Hum Behisaab Koi Aanshu Pauchene Na Aaye,
Khud Ko Yuhin Koste Rahe Aur Bas Pachtaayen….
Isliye Chaahe Kuch Bhi Ho Aage,
Us Maa Ko Tum Bhool Na Jana,
Mauka Mile Jab Bhi Koi Tumhe,
Us Maa Ko Khushi Diye Jana,
Khushi Ho Ya Gam Ke Baadal,
Sada Khush Rehna Aur Muskurana….
– Akash Chauhan