kaash kabhi to wo shaam aaye…
mere yaar ko yaad mera naam aaye
kya wajah hai jo bhula baitha hai…
koi khabar mile koi to paigaam aaye
yun to aadat ho gai hai tanhaai ki…
aadat nhi rahi shikwe aur ruswaai ki
magar kuch to ho aisa ke tadapte dil ko aaram aaye
kaash kabhi to wo shaam aaye…..
bada sakoon milta hai dil ki baat shaayri me kehkar
mai to wo hu jo khush rehta hoon tanhai me rehkar
koi hasrat nahi fir iss” RAJAN” ke labon pe muskaan aaye
kaash kabhi to wo shaam aaye……
ye sochkar badal diya maine jeene ka tareeka
k  galat hai yaar ko bewafa naam dene ka saleeka
shaayad khush dekhar mujhe mere yaar ko aaraam aaye
aur naa jaane kab iss duniya se jaane ka farmaan aaye…
kaash kabhi to wo shaam aaye….
by: RAJAN