Door hai apse to kuch gam nahi
Door rehke bhulne wale hum nai
Roz mulaqat na ho to kya hua
apki yaad apke mulaqat se kam nahi
Jabse apko jana hai
Jabse apko paya hai
Har dua mein apka naam aya hai
Dil karta hai picho us rab se
Kabhi khatan na ho teri khushion ka khazana
Kabhi bhule na tere hoth muskurana
Tu jahan bhi jaye meri dua sath jaye
Khuda kare tujhe meri umar lag jaye
Apke pyar ne zindgi ko ek maksad diya hai
Har sukh-dukh me mene apka ehsas kiya hai
Jab bhi jhapke palak apki to samaj lena
Apki jaan ne apko yaad kiya hai
Ye yaad hai apki ya yadon mein ap ho?
Ye kwab hai apke ya kwabon mein ap ho?
Hum nahi jante bas itna bata do
Hum jaan hai apki ya jaan hamari ap ho
Rulana har kisi ko ata hai
Hasana kisi kisi ko ata hai
Rula ke jo mana le wo sacha yaar hai
Aur jo rula ke khud bhi ansu bahaye
Woh apka sacha pyar hai
Aaj phir teri yaad aye barish ko dekh kar.
Dil pe zor na rha apni bebasi ko dekh kar.
Roye is qadar teri yaad me.
Ke barish bi thum gayi meri barish dekh kar.
Hume Jeene Nahi Deti Hai Ye Gujari Huyi yaadein
Hame Se Bhooli Nahi Jati Hai Ye Biti Huyi Baatein
Ab Kaise Kahein Hum Tum se Ye Dost Teri Baatein
Hame Har Pal Yaad Dilata Hai Teri Har Chhoti chhoti Baatein.
Kuch Badli Hui Taqdeer Nazar Aati Hai;
Dur Tak Yaaadon Ki Zanjeer Nazar Aati Hai;
Mai Padhu Tho Kya Padhu Dost;
Har Panhe Par Teri Tasveer Nazar Aathi Hai.
Mohabbat main asar hoga to ek din tum ko paalenge
Kisi surat se hum bigrri hui Kismat banalenge
Sitaron main Phoolon main Chaand main tum mil hi jaoge
Kahan tak hai mohabbat main haqeeqat aazma lenge
Zamaane ko dikha denge ke do DIL kaise milte hain
Is duniya main hum tum doosri duniya basalenge