dil kaa kyaa hai vo to chaahegaa musal_sal milnaa
vo sitam_gar bhii magar soche kisii pal milnaa
vaaN nahiin vaqt to ham bhii hain adiim-ul-fursat
us se kyaa kahiye jo har roz kahe,,, kal milnaa
————————————————
dil ko us raah pe chalna hi nahi
jo mujhe tujh se juda karti hai
zindagi meri thee lekin ab to
tere kehne mai raha karti hai
————————————————-
ujre hue loagon se gurezaan na hua kar
haalaat ki qabron pe ye qatbe bhi parha kar.
har waqt ka hansna tujhe barbaad na kar de
tanhaaee ke lamhon mai kabhi ro bhi liya kar,
ae dil tujhe dushman ki bhi pehchan kahan hai.
too halqa e yaaran mai bhi mohtaat raha kar.
us shakhs ke tum se bhi marasim hain to hoonge
woh jhoot na bole ga mere saamne aa kar.
ab thookre khaye ga kahan ae game ahbaab
main to kaha tha mere dil mai hi raha kar.
is shab ke muqaddar main seher hi nahi Mohsin
dekha hai kayee baar chiragon ko bujha kar
———————————————
na vo aankh hi teri aankh thee
na vo khuaab hi tera khuaab tha
dil e muntazir to yeh kis liye
tera jaagna usse bhool jaa
———————————————
INKISHAAF
na vaada hai koi tum se koi rishta nibhane ka
na koi aur hi dil mai tahayya ya iraada hai
kaii din se magar dil mai
ajab uljhan si rehti hai
ni tum is daastan k sarsari kirdaar ho koi
na kissa itna saada hai
taaluk jo mai samjha tha
kaheen us se ziyada hai
———————————————–
zehar aalood sahi lab pe tabbasum to saja
kuch bicharne k bhi aadaab hua karte hain
——————————————-
jala vo aag mohabbat ki mere seene mai
khayyal gair ka aaye to khaak ho jaaye
——————————————–
khulaa yeh aaj k hum aag hain jahanam ki
charragh hote to shub bhar main jal gaye hote
———————————————-
na koi gham hai na taqdeer mai judaaye hai
hamare pyaar ki sadion se aashnaaye hai
meri nazar mai azal se qayaam hai tera
LIKHA HUA MERE CHEHRE PE NAAM HIA TERA
_________________
har aik shab meri taaza azaab mai guzri
tumhaare baad tumhaare hi khwab mai guzri
mai aik phool hoon too mujh ko rakh k bhool gaya
tamam umr tumhari kitaab mai guzri
_________________
aarazuu hai vafaa kare koi
jii na chaahe to kyaa kare koi
tum saraapaa ho suurat-e-tasveer
tum se phir baat kyaa kare koi
———————
suu-e-maikadaa na jaate to kuchh aur baat hotii
wo nigaah se pilaate to kuchh aur baat hotii
go havaa-e-gulasitaaN ne mere dil kii laaj rakh lii
wo naqaab Khud uThaate to kuchh aur baat hotii
ye bajaa kalii ne khil kar kiyaa gulasitaaN muattar
magar aap muskuraate to kuchh aur baat hotii
ye khule khule se gesuu, inhen laakh tuu saNwaare
mere haath se saNwarate, to kuchh aur b