Aapki khatao ko bhul jane ko dil karta hai
Ab aapke karib aane ka dil karta hai
Aapki tarah hi khubsurat hai aapki baten
Aapki baton par muskurane ka dil karta hai
Isq hai ek aag ka dariya maine suna hai
Iss dariya main dub jane ka dil karta hai
Bahut ji liye iss duniya main rahkar hum
Ab aapke dil main bas jane ka dil karta hai
‘Avinash’ ho gaya bebas aapke pyar main
Iss pyar ko parwan chadhane ka dil karta hai.
avinashkundan368@gmail.com
99110089467