Laute jo teri bazm se hare thake hue

Ab sochte hai rounakein aundhe pade hue

Wo bhale jo bahar ke jaate chale gaye

Ab udte hai baagwaan mein bus patte jhade hue

Laut aaye shekh tasnagi honthon mein dabaker

Jub dekhe maikade mein taale pade hue

Kya noor hai chehre pe allah k fazal se

Chand bhi dekhe to ghataon ka sahara dhoonde

Na aaye baaz kabhi shekh apni aadat se

jahaan bhi jayein maikade dhoonde

Baith tasalli se koi kya soche

Kya sochte ho aakhir akele khade hue

Paani pyase ko mila mager khuloosh kahan

Abhi tasnagi ke matke hai khaali pade hue