Kya Tareef Karoo Unke Husan Ki

Khuda Ne Unhe Apne Hattho Se Banaya Hai

Unke Khoobsurat Cehre Ko

Heere Motiyon Se Sajaya Hai

Unki Haseen Ankho Main

Samandar Ka Neela Paani Milaya Hai

Unhe Dekh Kar Aisa Lagta Hai

Jaise Khuda Ne Bus Mere Liye Banaya Hai

Rasham Si Unki Zulfoon

Hontho Ko Gulab Ke Phoolo Se Sajaya Hai

Chandi Jaisa Unka Badan

Mashallah Khuda Ne Badha Soch Samajh Ke Banaya Hai

Jab Woh Hasti Hai To Phool Khilkhila Uthte Hai

Jab Woh Chalti Hai To Bhawre Gunguna Uthte Hai

Ab Kya Tareef Karu Rahne Bhi Do Yaroo

Hum To Unki Har Ik Adda Par Khayal Hai

Pehli He Nazar Main Unse Pyar Ho Gaya

Jabse Dekha Hai Unhe Unka Deewana Ho Gaya

Neend Gayi Ankho Se Chan Bhi Gawaya Hai

Meri Hathoo Ki Lakeero Mein Unka Naam Hi Samaya Hai