koch yadain hain un lamhoon ki

jin lamhoon main ham sath rahay

khushiyoon say bharay jazbat rahay

1 umar guzari hay ham nay

jahan rotay howay bhi hanstay thay

koch kahtay thay koch suntay thay

ham roz subha jab miltay thay

to sab kay chahray khiltay thay

por-lutF woh manazar hota tha

sab mil kar batain kartay thay

ham socho kitna hanstay thay

woh goonjh hamaray hansnay ki

ab 1 porani yaad bani

yah batain hain un lamhoon ki

jin lamhoon main ham sath rahay