Kbhi mehraban tha to kabhi anjaan tha,

Mera weham tha ya wo mera gumaan tha,

Day kr zakham wo marham rakhta tha,

Ban raha tha ya wakiey wo itna nadaan tha,?

Mujhse bichar gaya tha wo ik raat,

Wo shakhs jo kal tak meri pehchan tha,

Kash k wo ban jata hamara hamdam,

Kitna dil ko ic bat ka armaan tha,

Khuda ko chahtay itna to kuch mill b jata,

Humne chaha jis ko itna wo ik insaan tha,