Jo Muhabbat K Liye Jaan Diya Kartay Thay

Dehar Mai Aisay Bhi Kuch Log Hua Kartay Thay

Khoobroo Tha Woh Magar Sath Mai Baydaag Bhi Tha

Janay Kion Log Usay Chand Kaha Kartay Thay

Janay Kion Dost Bhi Ban Jatay Thay Dusman Meray

Pyar Say Jab Usay Ham ‘jaan’ Kaha Kartay Thay

Beech Mai Waqt Ka Darya Tha So Ham Mil Na Sakay

Ham Kinaron Ki Tarha Sath Chala Kartay Thay

Jab Para Ishq Say Paala To Buht Roye Ham

Dastanain To Ba-sud Shoq Suna Kartay Thay

Aaj Phir Goya Hai Asim , Aye Khuda Khair Rahay

Is K Lafzon Say To Toofan Utha Kartay Thay