jo aansu na hote aankho me

to aankhein itni khubsurat na hoti

jo dard na hota dil me

to khushi ki koi qeemat nahi hoti

jo bewafai na ki hoti waqt ne

to wafa ki kabhi chahat na hoti

agar sochne se hojati mohobbat ki muradein

to DUA ki kabhi Zarurat na hoti