Jab Lagein ZaKhm To Qaatil Ko Duaa Dii Jaye,

Hai Yahii Rasm, To Yeh Rasm Uthaa Dii Jaye,

Tishnagii Kuchh To Bujhe Tishna-Labaan-e-Gam Kii,

Ek Nadi Dard Kii Shahron Baha Jaye,

Dil Ka Woh Haal Hua Hai Gam-e-Dauran Ke Talay,

Jaise Ek Laash Chattaanon Mein Daba Di Jaye,

Humne Insanon K Dukh Dard Ka Haal Dundh Liya Hai,

Kya Bura Hai Jo Yeh Afwaah Urha Di Jaye,

HUmko Guzari HUi Sadiyaan Toh Na Pechanay Gi

Anay Walay Kissi Lamhay Toh Sada Di Jaye,

Phool Ban Jati Hain Dekhay Hue Shoolon Ki Laven,

Shart yeh Hai K Inhein Khoob Hawa Di Jaye,

Kam Nahi Nashay Mein Jaade Ki Gulabi Raatein,

Aur Agar Teri Jawani Bhi Mila Di Jaye,

Humse Pucho Ghazal Kya Hai, Ghazal Ka Fan Kya Hai,

Chand Lafzon mein Koi Aag Chhupa Di Jaye…..!!!