Issi bahane hawa humsafar banate hein

jahaan ghutan hu wahan log dar banate hein

Hamare baad ki nasloon ke kaam ayien gi

hum ajj paoon se jo rah-guzar banate hein

Hamara kia hai ke hum dhoop ke musafir hein

su apne saye se apna shajar banate hein

Yeh kyse ishq mein hara huwa hai shehar mera

ke log hanste huwe chashm-e-tar banate hein.

Koi nishani tu reh jaye apni chahat ki…

tumhari shakal kisi phool par banate hein

Zameen choor ke jana hai tu chalo

auraan ke liye ab apne par banate hein.