Zindagi Se Hogi Aaj Baat Hamari,
Pehli Baar Unse Hai Mulaqat Hamari,
Chand Ki Chandni Aaj Kuch Aur Hai,
Pehle Naa Thi Itni Haseen Raat Hamari
Peegal Jaaye Hushn Uska Meri Baahon Me,
Bikhar Jaaye Woh Mere Dil Ki Raahon Me,
Uski Jhulfo Ko Main Sawarta Rahu Hathon Se,
Kho Jaoo Uski Do Jheel Si Aankho Me,
Tamanna Aisi Kayee Hai Dil Me Hamari,
Kahenge Aaj Unse Jab Woh Hogi Saath Hamari,
Zindagi Se Hogi Aaj Baat Hamari
Pehle To Ye Kaliya Mujhko Behlati Naa Thi,
Is Tarah Main Darpan Se Kabhi Sharmati Naa Thi,
Thandi Hawa Ke Jhoko Se Main Simat Jaati Naa Thi,
Kisi Ghadi Ka Intezaar Karte Tadap Jaati Naa Thi,
Unse Milte Hi Her Manzil Karib Ho Jaayegi,
Puri Ho Jaayegi Aaj Har Talaash Hamari,
Zindagi Se Hogi Aaj Baat Hamari