Zindagi Mein Ek Hasin Sapan Dekha Hai
Us Sapne Ko Sach Karna Chahta Hoon
Tu Kahe Agar To Tere Daman Ko
Chand Sitaron Se Bharna Chahta Hoon
Man Me Uthe Har Ek Vichar Ko
Ummid Me Badalna Chahta Hoon
To Kya Hua Agar Badal Pani Nahi Barsate
To Kya Hua Agar Aag Lagne Se Nahin Uthta Dhooaan
Irade Hai Itne Atal
Hawa Ka Rukh Badalna Chahta Hoon
Per Badloon Bhi To Kaise
Bus Yahi Soch Mein Dooba Rehta Hoon
Ek Uske Dil Ko To Pigla Na Saka
Per Duniya Badalna Chahta Hoon.
Use Pa Liya To Jannat Mil Jayegi
Pyar Ki Reet Badalna Chahta Hoon