Zaraa Nigaah Uthaao Ke Kuch Qaraar Aaye
Mai-E-Nashaat Pilaao Ke Kuchh Qaraar Aaye
Vafaa Kii Sham’aa Jalaao Ke Kuch Qaraar Aaye
Zaraa Qareeb To Aao Ke Kuch Qaraar Aaye
Siyaah Raat Ke Khaamosh Sard Lamhon Mein
Fasaanaa Dil Ka Sunaao Ke Kuchh Qaraar Aaye!
Fazaaein Guunjatii Hon Pyaar Ke Suron Mein Jahaan
Vahiin Kii Baat Sunaao Ke Kuch Qaraar Aaye!
Meri Hayaat Ki Tanhaaiyon Ko Dekho To!
Abhii Na Chhor Ke Jaao Ke Kuchh Qaraar Aaye!
Khizaayein Mujhko Rulaati Hain Har Baras Aa Kar
Bahaaro! Tum Bhi Rulaao K Kuchh Qaraar Aaye!
Main Muntazir Huun Azal Se K Tum Se Mil Baithoun!
Kabhii To Mujhko Bulaao K Kuchh Qaraar Aaye!
Tumhaare Jaane Se Dil Muztarib Hai Shaam-O-Sahar
Kabhii To Laut Ke Aao K Kuchh Qaraar Aaye!
Bahut Sunaa Chuke Ulfat Ke Geet Aie Tanhaa
Ab Aisi Baat Sunaao Ke Kuch Qaraar Aaye