Zara Chilman Hatao Ke Jalwa-E-Husn-E-Sanam Dekhe
Qayamat Se Pehle Aaj Qayamat Hum Dekhe
Naqaab Utha Ke Mehtaab Joban Pe Hai Apne
Tere Rukh Ke Aage Isse Bhi Maddham Dekhe
Maana Ke Teri Ulfat Ke Talab Gaar Kayi Hain
Humari Aarzoo-E-Shoq Tujhe Sirf Barham Dekhe
Ek Nigah Idhar Bhi Kar Hum Bhi Hain Chahney Wale
Daman Phelaaye Kharhey Hain Ke Karam Dekhe
Pulkon Ko Naveed Aan Pohnchi Lo Aaj Phir Se
Aankhon Mein Barasta Teri Yaad Ka Mausam Dekhe
Ek Aur Shaam Dhalney Ko Hai Aaj Terey Bagher
Tanhaiyon Ke Phir Se Hum Sitam Dekhe
Guzar Hua Tha Kabhi Mera Waqt Wahi Pe Le Aya
Musaafatain, Wo Hi Raastey, Wo Hi Naqsh-E-Qadam Dekhe