Yun Bhi Hota Ki Main Khwab Main Jeeta.
Aankhain Band Kiye Kisi Makhmal Si Sej Par Pada Rehta.
Na Hath Hilata,Na Panv Hilata Phir Bhi Udta,Phir Bhi Behta
Khwabon Ke Aasman Main Khwabon Ke Pankh Lagaye.
Kabhi Is Bdal Se Us Badal Phir Us Badal Se Us Badal,
Badlon Se Badlon Tak Kabhi Na Pura Hone Wala Safar Pura Karta.
Phir Ek Badal Par Tum Hoti Jahan Main Theherta.
Mere Hathon Main Tumhara Hath Sirf Tumhara Aur Mera Sath.
Na Din Na Raat Ki Parvah Na Milne Ki Mehfooz Jagah.
Na Jamane Ke Sawal Jawab Na Umr Ka Hisab Kitab.
Bas Ham, Hamra Badal Hamara Aasman, Hamara Khwab.
Par Khwab Aur Haqeekat Ke Darmiyan Palkon Ke
Aasman Ke Girne Aur Uthne Ka Fansla Hota Hai
Khwab Jab Tuta Hai To Aankhen Haqeekat Ki
Roshni Main Pighal Jati Hai Haqeekat Talab Hai,
Jisme Behna Aur Beh Nikalna Mumkin Nahin.
Khwab Nadi Ki Tarah Hai Jisme Tham Jaana,
Ruk Jaana Mumkin Nahin Main Talab Ka Bashinda Hoon,
Aur Nadi Ke Khwab Dekhta Hoon.
Yun Hi Kabhi Kabhi Sochta Hoon,
Ke Main Khwab Main Jeeta,
Aankh Band Kiye Kisi Makhmal Si Sez Per Pada Rehta,
Na Hath Hilata Na Panv Hilata Hir Bhi Behta,
Khwabon Ki Nadi Main Bas Behta Rehta.
Behta Rehta Khushboo Ki Tarah Aarjoo Ki Tarah,
Aansoo Ki Tarah Saryu Ki Tarah
Behti Ek Nadi Se Pichla Rishta Hai Koi,
Thehre Sahilon Se Dil Lagaye Baitha Hoon..