Youn Haath Ki Khamoosh Lakiron Mei Aagaya
Lafzoun Ki Rahguzar Say Woh Dil Mei Sama Gaya
Jo Nukta Soochtee Rahee Mein Tamam Umar
Lamhoun Mei Sara Falsafa Mujhko Bata Gaya
Youn Chahatein Samait Lein Daaman-E-Yaar Nay
Bakhshi Qubooliat Dil-E-Be-Ikhtiyaar Nay
Sunli Duayein Bhi Meri Parwardigar Nay
Woh Bandagi Ka Mujhko Saleeqa Sikha Gaya
Uska Khayaal Subha Hai Uska Khayaal Shaam
Jaisay Pila Gaya Wo Mujhay Chahaton Ka Jaam
Matla’a Bhi Uskay Naam Hai Maqta’a Bhi Uskay Naam
Diwaanee-E-Shayeri Meri Kuch Youn Saja Gaya
Youn Haath Ki Lakeer Hina Ban Kay Chah Gayaa
Apnie Tasweerein Meraay Diyaan Mein Samagayaa
Khushboo Qaba Say Sari Fiza Mei Sama Gayaa
Chashm-E-Ghazal Mei Meri Kajal Laga Gayaa
Karkay Meray Wajood Ko Makhmoor Lay Gaya
Anjaan Rastoun Pay Mujhay Dooor Lay Gaya
Madhoushioun Mei Istarha Mas-Hoor Lay Gaya
Taza Ghamoun Ki Raah Woh Mujhko Dikha Gaya
Woh Aik Shakhs Saray Jahan Say Zara Juda
Umeed Meri Aas Meri Hausla Mera
Aiwan-E-Dil Mei Aatish-E-Chahat Laga Gaya
Din Ka Sukoon Raat Ki Neendein Chura Gaya
Toofaan Jaisay Shahar Mei Aakar Guzar Gaya
Chookar Meray Badan Ko Sehar Mujh Pay Kar Gaya
Jisko Thapak Thapak Kay Sulaya Tha Aik Umar
Ek Shakhs Chahatoun Kay Woh Armaan Jaga Gaya
Har Shaama’e Intizaar Sulagti Rahi Bahut
Roti Kabhi Rahi Kabhi Hansti Rahi Bahut
Khushboo’e Gul Chaman Mei Bhatakti Rahi Bahut
Deewangi Ki Ek Nayee Duniya Dikha Gaya
Bay-Aasra Bhi Ho Kay Bahalna Qubool Hai
Shamma Ki Tarha Mujhko Pighalna Qubool Hai
Purkhar Raastoun Pay Bhi Chalna Qubool Hai
Kaanton Ki Rahguzar Say Ulajhna Sikha Gaya
Youn Falsafa Hayat Ka Mujhko Bata Gaya
Youn Haath Ki Khamoosh Lakeeron Mei Aagaya