Yoonto Pehle Bhi Milte Rahe Ham
Per Abke Jo Mile To Kuchh Yoon Mile
Ke Dil Bhi Mila Aaye
Ey Doston Baat Sirf Chehron Ke Nahi
Par Sach Hai Ke Yoon Laga Jeise,
Alag Alag Sheron Se Kai Phool
Ik Guldaste Me Khil Aaye,
Sab Apni Si Khoobiyaan Liye The
Sabka Apna Hi Rang Nazar Aaya,
Praveen Me Paripakv Saral Wayktitva Paya
To Chhoti Si Rupaali Ne Kuchh Bhaavuk Banaya,
Mast-Masti Me Choor Tha To
Paaras Ka Josh Bhi Khoob Bhaya,
Bedil Khaamosh Magar Dil Ka Heera Nikla
Or Kshitiz Ne Mehfil Me Khoob Rang Jamaya,
Sharad Ki Naadaaniyaan Dil Ko Chhoo Gayi
Sakhi Tumhara Batiyaana Bhi Khoob Raas Aaya,
Pulkit Apne Pitaare Se Kuchh Na Kuchh Sunata To
Manoj Ko Chupchaap Sabko Parhta Sa Paya,
Kunal Chhota Magar Hausle Ka Sikandar
Shalini Ki Kami Ne Kuchh Dil To Dukhaya,
Taalib Tum Na Hokar Bhi Maujood Rahe
Vij Ki Khaamoshi Me Sangeeta Ki Muskurahat Ne Tadka Lagaya,
Meena Naam Ka Ek Sundar Sa
Guldaan Bhi Tha Wahaan Per,
Har Taraf Se Aaye In Khoobsoorat Phoolon Ko
Usne Bade Pyar Se Sajaaya,
Jo Nahi Pahunche Unka Bhi Kuchh Zikr Chala
Sanjoo -Â…tune Apni Kami Ka Phir Ehsaas Dilwaya,
Ye Chaand Yahaan Apni Haqikat Na Chhupa Saka
Kuchh Pal Hi Sahi -Â…uska -Ë—gussa-‘ Bhi Saamne Aaya.