Yeh Tanahi Ka Alam
Aur Main Aur Tum Sirf Tum
Yeh Shuaani Raat Ka Alam
Aur Bas Main Aur Tum
Saji Hai Taaro Ki Baaraat
Chand Ke Madmaate Rup Ke Saath
Yeh Mehakta Sa Sara Guljaar
Mere Husan Per Hai Aaj Nikhaar
Tera Saawala Sa Rup Dil Per Chhaa Gaya
Mere Hosh Aur Neende Udda Gaya
Kyu Na Behke Se Rahe Ismein Aaj
Bas Main Aur Tum Haan Sirf Tum
Mere Aanchal Ko Tumne Rukh Se Sarka Diya
Husan Ka Naqab Aaj Yun Hata Diya
Rakh Diya Mere Shaano Per Apna Sirr
Aur Apni Nazaro Se Yeh Aaj Kya Peela Diya
Behak Gayi Raat Ke Saath Main Bhi Sanam
Yeh Tanahi Ka Alam Aur Bas Main Aur Tum Sirf Main Aur Tum