Ye Pichlay Ishq Ki Batain Hain
Jub Aankh Main Khawaab Damaktay Thay
Jub Dil Main Daag Chamaktay Thay
Jub Palkain Shehar Ke Rastoun Main
Ashkoun Ka Noor Luta’ti Theen
Jub Saansain Ujlay Cheroun Ki
Tan-Man Main Phool Sajati Theen
Sochoun Main Bhawanar Par Jatay Thay
Jub Eak Talatum Rehta Tha
Apnay Be-Ant Khayaloun Main
Har Ehad Nibhanay Ki Qasmain
Khat Khoun Se Likhnay Ki Rasmain
Jub Aam Thi Hum Dil Waloun Main
Ab Apni Ujri Aankhoun Main
Jitni Roushan Se Ratain Hain
Es Umer Ki Sub Soghatain Hain
Jis Umer K Khawaab Khayaal Hoey
Wo Pechli Umer Thi Beet Gae
Wo Umer Bitaey Saal Hoey
Ab Apni Deed K Rastay Main
Kuch Rang Hain Gozray Lamhoun Ke
Kuch Ashkoun Ki Baratain Hain
Kuch Bholay Bisray Cheray Hain
Kuch Yadoun Ki Barsatain Hain
Ye Pichlay Ishq Ki Batain Hain
Sub Pechlay Ishq Ki Batain Hain