Ye Jo Mera Mann Hai Na Sach Bada Baawla Hai
Har Shaam Runa Deta Hai Har Subha Naye Khaab Dikha Deta Hai
Kabhi Samandar Me Bhikhar Jaata Hai
Kabhi Aasmaanon Me Ud Jaata Hai
Kis Pe Aaye, Kis Pe Na Aaye Ye
Bas Fiasla Hi Nahi Kar Paata Hai
Kisi Ki Aankhon Me Doob Jaata Hai
Kisi Ke Dil Me Utar Jaata Hai
Bada Mushkil Hai Samjhaana Isko
Ye Mujhe Aksar Kuchh Aage Nikal Jaata Hai,
Pankh Nahi Hain Iske Or Chaand Chhoone Ki Chaah Rakhta Hai
Jaanta Hai Tooti Hain Ummeedin Iski
Phir Bhi Uski Raahon Se Kuchh Raah Rakhta Hai
Machal Jaata Hai Kisi Ke Muskuraane Se
So Padta Hai Ye Aas Toot Jaane Se
Surajmukhi Ho Chala Hai Ye Baawla Man
Phir Khil Uthta Hai Suraj Ke Nazar Aane Se