Yaddon Kay Mausam Main Dil Ki Kori Zameen Pay,
Kush Beej Chhahat Kay Boaie Thay Maine Kabhi,
Unko Seencha Thaa Apnay Khoon-E-Jigar Say Maine Kabhi,
Ajj Sadiyon Kay Intzaar Kay Baad,
Kush Ankur Safeed Rang Kay Foot Paray Hai,
Jinko Dekh Kay Main Hairat Main Hoon,
Or Man Hee Man Yeh Soach Raha Hoon,
Yeh Kaisee Fasal Uggi Hai Meri Chhahat Ki,
Kori Zameen Main Say Koray Say Ankur!
In Main Bhee Meri Tarha Koi Rang Nahi,
Koi Khushbu Nahi Koi Harkat Nahi,
In Ankuro Kay Pooday Bannay Kay Intzaar Main,
Main Baitha Hoon Is Aas Pay Ki Shayad,
Inka Rang Kush Hara Ho Jaye,
In Par Bhee Laal Rang Kay Phool Khilay,
Lakin Main Yeh Bhool Gaya Hoon,
Aakhir To Yeh Uugay Hai Mere Dil Ki Zameen Pay,
Inko Seencha Hai Apnay Khoon-E-Jigar Say Maine,
Phir Kiyon Joothi Umeed Sajaiye Baitha Hoon,
Ki Yeh Haray Hongay Or In Par Laal Rang Kay Phool Khilaingay,
Phir Aachanak Mere Jhain Main Yeh Baat I,
Ki Haan Inko Tere Komal Haathon Ka Saparsh Mila Hai,
Wo Ek Lamha Jab Tu Mere Samnay I Thee,
Or Tunay Mujhsay Nazar Milai Thee,
Shayad Wo Anmol Lamha Hee Inko Hara Kar Day,
Inki Har Dalli Laal Phoolon Say Bhar Day,
Mera Dil Yeh Manta Hai Ki Tum Bahar Ho,
Is Beqraar Dil Ka Qaraar Ho,
Meri Wafa Ho Mera Pehla Pyar Ho,
Mere Man Mandir Ki Devi Ho Tum,
Janmo Say Meri Talaash Ho Tum,
Meri Pyasi Dharkno Ki Pyaas Ho Tum,
Haan Mujko Yakeen Hai Ki Yeh Pooday Haray Hongay,
Or In Par Laal Rang Kay Phool Bhee Khilaingay,
Kiyonki Tum Ajj Bhee Mere Saath Ho.