Wo Zindagii Jo Meelon Duur Hei
Jis Ki Yaad Se Dil Noor Noor Hei
Jantee Hoon Her Soorat Wo Ghair Hei
Phir Bhi Uski Justuju Zaroor Hei
Wo Na Hota Tu Mein Kahan Hotee
Zarra Hota Na Asmaan Hotee
Wo Hi Dunya Dari Ke Jhagre Hote
Wo Hi Berozgaari Kaa Saamna Hota
Aye Kash Ke Wo Bewafa Hota
Yahan Muqaam Kuch Juda Hota
Main Ro Detee Hoon Iss Khyaal Per
Wo Jo Mera Hota Tu Kya Hota
Jab Kabhi Khud Ko Tanha Paatee Hoon
Aik Tasweer Jahan Main Banatee Hoon
Karke Band Bheege Palkoon Ko
Uski Yaadon Mein Doob Jaatee Hoon
Kaise Keh Doon Ke Wo Paraya Hai
Ussi Ne Tu Jeena Seekhayaa Hai
Hei Usse Ke Naam Se Yah Shairee
Yah Neha Ko Usee Ne Banaaya Hai
Wo Zindagi Toe Meelon Duur Hei
Haan Uski Justuju Zaroor Hei