Wo Tha Meri Zindagi Ka Sabse Khubsurat Khwaab,
Jise Har Pal Dekha Wo Sach Se Bhi Hasin Khwaab
Par Wo Hamare Sare Khwaab Pal Bhar Me Tod Gaya,
Loot Gaya Sab Kuch Us Khwaabko Paane Ke Liye,
Begana Kar Diya Duniyako Us Khwaabko Apnane Ke Liye,
Chod Di Apni Hakikatonki Duniya Us Khwaabko Hakikat Banane Ke Liye
Aisi Sakht Kirne Padi Surajki
Ke Mera Wo Khwaab Tut Gaya,
Khair Kya Shikayat Surajse,
Jo Mera Khwaab Tha Wohi Mera Khwaab Tod Gaya,
Wo Khwaab To Nikla Shishe Ka Gharonda,
Ek Thes Jo Lagi To Tut Ke Chur Chur Ho Gaya,
Ab To Hum Nindonse Bhi Darne Lage Hai
Tut Na Jaye Koi Khwaab
Ab Khwaab Dekhne Se Darte Hai
Khwaab Kisika Kab Pura Hota Hai,
Kasur In Aankhonka Hai Jo
Hakikat Jaanke Bhi Khwaab Dekha Karte Hai