Wo Shaam, Wo Masti, Wo Shokh Nazzara Tha
Surkh Sooraj Se Nahaya Dariya Kaa Kinaara Tha
Dubte Shams Kii Hiddat, Hamare Ishq Kii Shiddat
Jaise Door Ufaq Pe Hamari Chahat Kaa Sharaara Tha
Jaise Do Dil Mile Ho, Fiza Mein Kayi Rang Ghule Ho
Mere Lab-O-Rukhsaar Ko Teri Ulfat Ne Sanwara Tha
Jaise Shamiim-E-Shab, Aanchal Mein Mehak Gayi Ho
Daaman Mein Samaya, Tera Chehra Maah Paaraah Tha
Matwaali, Albeli, Lehron Ke Badan Pe Wo Cheeinte
Ret Sane Mere Jism Ne, Teri Khilkhilahat Ko Pukaara Tha
Mere Aariz-O-Absaar Par Teri Saanson Ka Machalna
Tere Lams Ki Be-Khudi Mein, Mera Jism Para Para Tha
Shabnami Labon Ki Aanch Se, Saansein Behak Gayin
Kaif-O-Masti Ke Aalam Mein Mera Ruup Awaara Tha
Meri Khwaabidah Hasraton Ki Aandhi Jo Chal Padhi
Mehboob Teri Baahon Mein Mera Sab Tumhara Tha
Shafaq Kirnein, Wo Sabz Fizaayein, Dhadkanon Ke Nagme,
Wo Barq, Wo Gul, Inmein Hua Bebas Yeh Dil Bechaara Tha
Saare Jahaan Ki Khushiyan Tujhko Main Nazar Kar Doon
Chuukar Teri Ruuh Ko, ‘Paras’ Ki Ruuh Ka Ishaara Tha
Hiddat = Sharpness, Warmth
Sharaara = Gleam, Sparkle
Shamiim-E-Shab = Fragrant Evening Breeze
Maah Paaraah = Beloved
Aariz-O-Absaar = Cheeks And Eyes
Lams = Touch
Kaif = Joy
Shafaq = Afterglow
Barq = Lightining